छपाक … …

Please Share :
Pin Share

Dr. G. Singh

 

झील के किनारे एक पत्थर पर एक मेंढक महाराज आराम कर रहे है | शाम के समय है  ठंडी एवम शांत हवाएं मौसम को खुशनुमा बना रही है | आँखों के एक छोर से दूसरे छोर तक झील और झील का पानी | झील का पानी किसी समाधि लगाए हुए योगी की तरह शांत कोई हलचल नहीं चारो तरफ ख़ामोशी । शायद आने वाले तूफ़ान का संकेत ।

झील के किनारे कई जमे पत्थर पर आराम फरमाते हुए मेंढक महाराज | शायद हवाओं मैं आयी तेजी या शायद शिकार की गंध या शायद बिना किसी विशेष कारण मेंढक महाराज ने शांत पानी मैं छलांग लगा दी ।

छपाक … … …

झील का पानी अचानक ही बुरी तरह तड़प उठा । कुछ देर तक गोल गोल दायरे चारो तरफ घुमते रहे फिर दोबारा पानी  पहले की तरह शांत हो गयी |

न तो सवाल पानी का है न ही मेंढक महाराज का सवाल सिर्फ इतना है की पानी पर अचानक जो हलचल पैदा हुई उसे कायम कैसे रखा जाये ।

क्या कहा आपने ।

यह संभव नहीं है |

शायद संभव न हो पर अगर झील की जगह पर आपन हृदय एवम मेंढक महाराज की जगह पर यह छोटी सी घटना हो तब क्या यह संभव है

&^&*#^&*$#^

जरा तेज बोलिये साहेबान

शायद  संभव हो

चलिए koi bat नहीं phle ghatna ko dekh le uske bad decide karte हैं की प्रभाव sthayi हो sakta hai ya नहीं | yeh kahani hai keshav ki and sharma ji ki.

ek dafa ki baat hai keshav & sharma ji delhi se mumbai ki yatra karna cahte the. Dono ne decide kiya ko is baar woh flight se yatra karenge. To sahebaan hmare sharma ji & keshav ne apne apne ticket book kar liye. Dono sahi tarikh avm samya par airport bhi pahunch gaye. Keshav & Sharma ji cahte the ki dono agal bagal ki seat par yatra kar sake prantu jaisa ki kisi vidhwaan ne kaha hai ki hota whi hai jo ram cahta hai. To sahebaan hmare keshav & sharma ji ko agal bagal ki seat nhin mil payi. Kher koi baat nhin, koi chinta nhin keshav ne apne mobile par apne pasandida music chalu kiya head phone kanon par lagaya aur apne seat ki taraf chal diye.

Apne hi khyalon main mast apna pasandida music sunte hue keshav apni seat ke nazdeep pahunch gaye and apna bag seat ke upar bane hue cabin main rakhne lage. Abhi tak keshav apne mushic & khyalon main is kadar mast the ki unhone yeh dekha tak nhin ki unle bagal wali seat par kaun baith hai. Jab keshav apna bag cabin main rakh rhe the tab aakhon ke corner ne unhe ahsas karwaya ki unke bagal waliu seat par baithe yatriyon ne apne seat ki adla badli ki hai.

Halaki yeh koi khas ghatna nhin hai prantu hmare keshav ne samjha ki sayad unke bagal wali seat par koi 16 saal ki khubsurat mhila yatri hongi and unke bagal main sayad unke bhai ya pita mojood honge. Unhone apna farz samjhte hue keshav ke karan seat ki adla badli ki hogi.

Yeh koi vishash ghatna nhin hai. Vese to kahani yhin par hi khatam ho jati hai. Jyada se jyada yeh likha ja sakta hai ki iske bad keshav ne apni seat par baith kar shanti se mumbai tak ki yatra ki. Chalo thoda aur jyada likha jaye to kh sakte hain ki keshav ne apne shyatri ke saath gape ladate hue yatra ki. Aur jyada likha na ho keshav ne shyatri ke saath kya baten hui yeh bhi likha ja sakta hai.

Prantu meri samsya yeh hai ki main aapko koi kalpnik kahani nhin suna rha hoon, main to aapko satya ghatna suna rha hoon. Mere farz hai ki main ghatna ko jaisi ghatna thi vaisi hi aapke samne rakh doon.  Kathakaar ki apni majboori hai , chalo jyada se jyada main ghatna ko thoda vistaar de sakta hoon, thoda sa idhar ya udhar kar sakta hoon prantu mera farz hai ki ghatna ki aatma na badle.

Keshav ne apni bag cabin main rakh diya aur apni seat par baith gaya. Jab usne apna sir ghumakar apne shyatri ko dekha to paya ki uska sehyatri takreeban 50 saal se upar ka purush hai. Ab keshav ko yakin ho gaya ki phle jo mhila uske bagal ki seat par thi unke jawan beti thi and pita ne apna farz samjhte hue … …

Prantu jab keshav ne unke bagal wali mhila shyatri ke dekha to paya ki woh ek 50 saal ki mhila thi sayad bujurg shyatri ki patni. Agar sahi kha jaye to mhila ki umar keshav ki mata ji ke barabar ya aas paas rhi hogi.

Ab keshav yeh sochne par majboor ho gaye ki purush shyatri ke dwara seat badlne ki mamuli si ghatna ko kis tarha se dekha jaye. Prantu Keshav ke paas koi jawab nhin tha. Usne fhilhaal ke liye is masle ko taal diya. Kuchh der bad jab snacks serve kiye jaane lage, keshav apne snacks khatam karne hi wala tha ki achhanak usne dekha ki uske bujurg shyatri apne butter pack ko kholne main asmarth hain, tatha apeksha karte hain ki Keshav unki madad kare. Keshav ne muskrate hue unka butter ka packet pakda and use khol kar ek pyari si muskurahat ke sath bujurg shyatri ko lota diya. Bujurg shyatri ne bhi pyari si muskurahat se shukriya ada kiya.

Airport se bahar aakar sharma ji & keshav taxi main apne gantavye ki taraf rawana ho gaye. Raste main keshav ne mamuli ghatna par sharma ji ke vichar janne ke liye unse discuss kiya.

Keshav : Main samaj nhin pa rha bujurg mhila shyatri ne seat change kyon ki.

Sharma : Are simple hai aap anjaan aadmi the is liye

Keshav : Mana ki anjaan tha par main koi gunda badmash to nhin hoon

Sharma : Are par unko to yeh baat nhin pata na

Keshav : Mana ki unko nhin pata par unko apni tatha meri umar to dikhayi de rhi the na

Sharma : Kaisi baat karte hain keshav bhai Gunde log kya umar dekh kar chhed chhad karte hain

Keshav : Chaliye maan liya ki gunde umar nhin dekhte. Yeh bhi maan liya ki gunde badmash hain. Par har koi to gunda badmash nhin hai na.

Sharma : Par woh aapko jante jo nhin the.

Keshav : Jante nhin the to woh mujhe sharif aadmi bhi to maan sakte the.

Sharma : Bina aapko jaane …

Keshav : Aap shayad yeh khna cahte hain ki India main adhikanh mard gunde badmash hain ? Is liye by default kisi bhi mard ko gunda badmash samjha jata hai ?

Sharma : Pata nhin aap kya kehna cahte hain …

Keshav : Main yeh khna cahta hoon ki India ke adhikans mard sharif hain jaisa ki har society main hota hai

Sharma : Hmm ….

Keshav : Sayad hmare dimag main shak is kadar baitha diya gaya hai ki hum sab achhaiyon ko bhool kar har aadmi main gunda badmash hi talashkarte hain.

Sharma : Sayad aap shi khte hain

Keshav : Par jo mhtavpurn baat hum bhool jate hain woh yeh hai ki har maa/baap apne bete ko sharif & sidha sadha manta hai and durson ke ladke ko badmash.

Sharma : Kya aap yeh khna cahte hain ki meri nazar main keshav badmash hai aur keshav ki nazar main sharma badmash hai ?

Keshav : Bilkur aisa hi mehsoos ho rha hai.

Sharma : Sayad aap thik kehte hain.

Keshav : Wese iska ek pehlu aur bhi hai. Sayad hum logon ke dimag main bachpan se hi PROTECTOR ki awdharna basa di gayi hai. Time ke sath yeh dharna is kadar jaden jama jati hai ki aadmi apni life jeen bhool kar khud ko bus ek bodyguard ke roop main hi dekh pata hai.

Sharma : Aap shi keh rhe hain. Hamen apne bachon ko unki life jeena sikhana hoga.

Keshav : Ek swatantra vyekti ke taur par na ki PROTECTOR ke taur par.

Sharma : Shi kaha aapne.

There is a voice that doesn’t use words. Listsen.